Mirza Ghalib Shayari - Page 3 - Hindi Shayari

Aarish-E-Jamaal Se Faarigh Nahi

Aarish-e-Jamaal Se Faarigh Nahi Hanooz;
Pesh-e-Nazar Hai Aaina Daaim Naqab Mein!

Aarish-E-Jamaal Se

Hai Ghalib Ghailb Jisko

Hai Ghalib Ghalib Jisko Samjhtey Hain Hum Shuhood;
Hain Khwab Mein Hanooz Jo Jaage Hain Khwab Mein!

Ghalib Nadeem-E-Dost Se Aati Hai

Ghalib Nadeem-e-Dost Se Aati Hai Bu-e-Dost;
Mashghul-e-Haq Hoon Bandagi-e-Bu Turaab Mein!

Aah Ko Chahiye Ek Umar

Aah Ko Chahiye Ek Umar Asar Hone Tak;
Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak;
Dam Har Mauj Mein Hai Halqa-e-Sad Kaam-e-Nihang;
Dekhein Kya Guzre Hai Qatre Pe Guhar Hone Tak!

Aashiqui Sabr Talab

Aashiqui Sabr Talab Aur Tamanna Betaab;
Dil Ka Kya Rang Karoon Khoon-e-Jigar Hone Tak!

Hum Ne Mana Ki

Hum Ne Mana Ki Taghaful Na Karoge Lekin;
Khaak Ho Jayenge Hum Tumko Khabar Hone Tak;
Partawe-e-Khur Se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taleem;
Main Bhi Hun Ek Inayat Kee Nazar Hone Tak!

Yak Nazar Besh Nahi

Yak Nazar Besh Nahi Fursat-e-Hasti Ghafil;
Garmi-e-Bazm Hai Ek Raqs-e-Sharar Hone Tak;
Gham-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Juz Marg Ilaz;
Shama Har Rang Mein Jalti Hai Sahar Hone Tak!

Yak Nazar Besh Nahi

Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht

Dil Hi To Hai Na Sang-o-Khisht, Dard Se Bhar Na Aaye Kyon;
Royenge Hum Hazar Baar Koi Humein Sataye Kyon;
Daer Nahi, Haram Nahi, Dar Nahi, Aastaan Nahi;
Baithe Hain Rehguzar Pe Hum Gair Humein Uthaye Kyon!

Jab Woh Jamaal-E-Dilfaroz

Jab Woh Jamaal-e-Dilfaroz, Surat-e-Mehr-e-Nim Roz;
Aap Hi Ho Nazara Soz, Parde Mein Munh Chhupaye Kyon;
Dashna-e-Ghamza Jaan Sataan, Naawak-e-Naaz Be Panah;
Tera Hi Aks-e-Rukh Sahi, Samne Tere Aaye Kyon!

Gham Se Nijaat Paye Kyon

Qaid-e-Hayat-o-Band-e-Gham Asal Mein Dono Ek Hain;
Maut Se Pehle Aadmi Gham Se Nijaat Paye Kyon!

Tu Dost Kisi Ka Bhi

Tu Dost Kisi Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha;
Auron Pe Hai Woh Zulm Ki Mujh Par Na Hua Tha;
Chhoda Mah-e-Nakhshab Kee Tarah Dast-e-Qaza Ne;
Khurshid Hanuz Us Ke Barabar Na Hua Tha!

Koi Mere Dil Se Pooche

Koi Mere Dil Se Pooche Tere Teer-e-Nim Kash Ko;
Yeh Khalish Kahan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hota!

Yeh Kahan Ki Dosti Hai

Yeh Kahan Ki Dosti Hai Ki Bane Hain Dost Naasih;
Koi Chaarasaaz Hota Koi Ghamgusar Hota;
Rang-e-Sang Se Tapkta Woh Lahu Ki Phir Na Thamta;
Jise Gham Samajh Rahe Ho Yeh Agar Sharaar Hota!

Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai

Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai, Shab-e-Gham Buri Bala Hai;
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota;
Hue Mar Ke Jo Hum Ruswa, Hue Kyon Na Gharq-e-Dariya;
Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota!

Dil-E-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai

Dil-e-Nadaan Tujhe Hua Kya Hai;
Aakhir Is Dard Kee Dawa Kya Hai;
Hum Hain Mushtaaq Aur Wo Bezaar;
Ya Ilaahi Yeh Maajra Kya Hai!

Hum Ko Unse Hai Wafa Ki Umeed

Hum Ko Unse Hai Wafa Ki Umeed;
Jo Nahi Jaante Wafa Kya Hai;
Haan Bhala Kar Tera Bhala Hoga;
Aur Darvesh Kee Sada Kya Hai!

Jaan Tum Par Nisaar Karta Hun

Jaan Tum Par Nisaar Karta Hun;
Main Nahi Jaanta Dua Kya Hai;
Maine Maana Ki Kuch Nahi Ghalib;
Muft Haath Aaye To Bura Kya Hai!

Zulmat Kade Mein Mere

Zulmat Kade Mein Mere Shab-e-Gham Ka Josh Hai;
Ek Shamma Hai Daleel-e-Sahar So Khamosh Hai;
Na Muzhda-e-Visaal Na Nazara-e-Jamal;
Muddat Hui Ki Aashti-e-Chashm-o-Ghosh Hai!

Zikar Us Parivash Ka

Zikar Us Parivash Ka Aur Bayaan Apna;
Ban Geya Raqeeb Aakhir Tha Jo Raazdaan Apna;
Mai Woh Kyon Bahut Peete Bazm-e-Ghair Mein Ya Rab;
Aaj Hi Hua Manzoor Unko Imtihaan Apna!

Manzar Ik Bulandi Par

Manzar Ik Bulandi Par Aur Hum Bana Sake;
Arsh Se Idhar Hota Kaash Ki Makaan Apna;
De Woh Jis Kadar Zillat Hum Hansi Mein Taalenge;
Baare Aashna Nikla Unka Paasban Apna!