Haif Us Chaar Girah Kapde Ki Qismat ‘Ghalib’;
Jis Ki Qismat Mein Ho Aashiq Ka Girebaan Hona!
Bus Ki Dushwaar Hai Har Kaam Ka Aasaan Hona;
Aadmee Ko Bhee Muyassar Naheen Insaan Hona!
Giriya Chaahe Hai Kharaabee Mere Kaashaane Ki;
Dar-o-Deevaar Se Tapke Hai Bayaabaan Hona!
Jee Dhoondta Hai Phir Wahi Fursat Ke Raat Din;
Baithe Rahein Tasawwur-e-Janaan Kiye Hue!
Ye Na Thi Hamari Kismat Ke Visaal-e-Yaar Hota;
Agar Aur Jeetey Rehtey, Yehi Intezaar Hota!
Nikalna Khuld Se Aadam Ka Sunte Aaye Hain Lakin;
Bohat Bayabroo Ho Kar Teray Kochay Say Hum Niklay!
Toote Hain Sheesha Dil Haaye Dil Itne Ke Ehl-e-Dard;
Rakhte Hain Paaon Khaak Par Sau Baar Dekh Ka!
Tu Wo Zaalim Hai Jo Dil Mein Reh Kar Bhi Mera Na Ban Saka ‘Ghalib’;
Aur Dil Wo Kafir Jo Mujh Mein Reh Kar Bhi Tera Hogaya!
Sare Raah Jo Unse Nazar Mili;
To Naksh Dil Kay Ubhar Gaye;
Hum Nazar Mila Kar Jhijag Gaye;
Vo Nazar Jhuka Kar Chale Gaye!
Jab Se Dekhi Hai Hamne Duniya Kareeb Se;
Lagne Lage Hain Saare Rishte Ajeeb Se!
Woh Dil Mein Hai;
Dhadkan Mein Hai;
Rooh Mein Hai Ghalib;
Sirf Kismat Mein Nahi Hai To Khuda Se Gila Kaisa!
Is Qadar Toda Hai Mujhe Us Ki Be-Wafaai Ne;
Ghalib Ab Koi Agar Pyar Se Bhi Daikhe Toh Bikhar Jata Hoon Main!
Chaandni Raat Ke Khamosh Sitaron Ki Qasam;
Dil Mein Ab Tere Siwa Koi Bhi Aabad Nahi!
Kehte Toh Ho Yun Kehte, Yun Kehte Jo Yaar Aata;
Sab Kehne Ki Baat Hai, Kuch Bhi Nahi Kaha Jata!
Bahut Sahi Gam-e-Geti Sharab Kam Kya Hai;
Gulam-e-Saqi-e-Kausar Hun Mujhko Gam Kya Hai;
Tumhari Tarz-o-Rawish Jante Hain Ham Kya Hai;
Raqib Par Hai Agar Lutf To Sitam Kya Hai;
Sukhan Mein Khama-e-Galib Ki Atashfashani;
Yaqin Hai Hamko Bhi Lekin Ab Us Mein Dam Kya Hai!
Ek Toote Hue Dil Ki Aawaaz Mujhe Kahiye;
Sur Jismein Hai Sab Gum Ke Woh Saaz Mujhe Kahiye;
Main Kaun Hoon Aur Kyaa Hoon Kiske Liye Zindaa Hoon;
Main Khud Bhi Nahi Samjha Woh Raaz Mujhe Kahiye!
Rahiye Ab Aisi Jagha Chal Kar Jahan Koi Na Ho;
Hum-Sukhan Koi Na Ho, Aur Hum-Zubaan Koi Na Ho;
Parriye Gar Beemar To Koi Na Ho Teemar’daaar;
Aur Agar Mar Jaayiye To Noha-Khuwaa’n Koi Na Ho!
Aah Ko Chahiye Ek Umar Asar Hone Tak;
Kaun Jeeta Hai Tere Zulf Ke Sar Hone Tak;
Aashiqii Sabr Talab Aur Tamannaa Betaab;
Dil Ka Kya Rang Karun Khoon-e-Jigar Hone Tak;
Hum Ne Maana Ki Tagakul Na Karoge Lekin;
Khaak Ho Jayenge Hum Tum Ko Khabar Hone Tak;
Gam-e-Hasti Ka Asad Kis Se Ho Kuz-Marg-e-Ilaaj;
Shamaa Har Rang Mein Jalati Hai Sehar Hone Tak!