Duniya kare sawaal to hum kya jawaab dein,
Tumko na ho khyaal to hum kya jawaab dein.
Dekh zinda ke pare joshe junoon, joshe bahaar,
Raqs karna hai to phir paanv ki zanzeer na dekh.
Rehte the kabhi jinke dil mein, hum jaan se bhi pyaaron ki tarah,
Baithe hain unhi ke koonche mein hum, aaj gunahgaaron ki tarah.
Rok sakta hume zindane bala kya Majrooh,
Hum to aawa hai deewaron se chan jate hain.
Bacha liya mujhe toofan ki mauj ne warna,
Kinaare waale safeena mera dubo dete.
Mujhe sahal ho gai manzilein wo hawa ke rukh bhi badal gaye,
Tera hath, hath mein aa gaya ki chirag raah mein jal gaye.
Main akela hi chala tha janibe-manzil magar,
Log aate gaye aur kaarvan banta gaya.
Taqdir ka sikwa bemani, jeena hi tujhe manjoor nahin,
Aap apna muqaddarban na sake, itna to koi majboor nahin.