Main dhoondta hun jise wah wahan nahin milta,
Nai jameen naya aasmaan nahin milta.
Koi to sood chukaaye, koi to jimma le,
Us inkilaab ka jo aaj tak udhaar sa hai.
Kya jaane kisi ki pyaas bujhane kidhar gayi,
Us sar pe jhoom ke jo ghataayen gujar gayi.
Isi mein ishq ki kismat badal bhi sakti thi,
Jo waqt beet gaya mujh ko aazmaane mein.
Rahein na rind ye waaiz ke bas ki baat nahin,
Tamaam shehar hai do chaar das ki baat nahin.
Muddat ke baad us ne jo ki lutf ki nigaah,
Jo khush to ho gaya magar aansoo nikal pade.
Bahaar aaye to mera salaam keh dena,
Mujhe to aaj talab kar liya hai sehara.
Basti mein pane hindu musalmaan jo bas gaye,
Insaan ki shql dekhne ko ham taras gaye.
Baras padi thi jo rukh se naqaab uthaane mein,
Wo chandani hai abhi tak mere gareeb-khaane mein.
Jis tarah has rahan hun main pee pee ke garm ashq,
Yun dusara hase to kaleza nikal pade.
Belche laao kholo jameen ki tahein,
Main kahan dafan hun kuchh pata to chale.
Ped ke kaatne waalon ko ye maaloom to tha,
Jism jal jaayenge jab sar pe na saaya hoga.
Jhuki jhuki si nazar be-qaraar hai ki nahin,
Daba daba sa sahi dil mein pyar hai ki nahin.
Jo ik khuda nahin milata to itna maatam kyun,
Mujhe khud apne kadam ka nishaan nahin milta.
Ab jis taraf se chaahe gujar jaaye kaaranva,
Veeraniyan to sab mire dil mein utar gai.
Gurbat ki thandi chhanv mein yaad aai us ki dhoop,
Kadr-e-watan hui hamein tarq-e-watan ke baad.
Gar doobana hi apna muqaddar hai to suno,
Doobaenge ham jaroor magar nakhuda ke saath.
Bas ik jhijhak hai yahi haal-e-dil sunaane mein,
Ki tera zikr bhi aayega is fasane mein.
Insaan ki khwaahishon ki koi intiha nahin,
Do gaz jameen bhi chaahiye do gaz kafan ke baad.