JItne gada-nawaaz the kab ke gujar chuke,
Ab kyun bichhaye baithe hain ham boriya na poochh.
Is ka rona nahin kyun tum ne kiya dil barbaad,
Is ka gham hai ki bahut der mein barbaad kiya.
Had hai apni taraf nahin main bhi,
Aur un ki taraf khudaai hai.
Kadam insaan ka raah-e-dahar mein tharra hi jaata hai,
Chale kitna hi koi bach ke thokar kha hi jaata hai.
Is dil mein tere husn ki wo jalwaagiri hai,
Jo dekhe hai kehata hai ki sheeshe mein pari hai.
Ab ae khuda inaayat-e-beja se faayda,
Maanoos ho chuke hai gham-e-jaaveda se ham.
Mila jo mauka to rok dunga jalaal-e-hisaab tera,
Padhunga rahmat ka wo kaseeda ki hans padhega ajaab tera.
Mujh ko hosh nahin yum ko khabar ho shaayad,
Log kehate hain ki tum ne mujhe barbaad kiya.
Dil ki choton ne kabhi chian se rehane na diya,
Jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya.
Dard-e-dil de ke mujhe us ne ye irshaad kiya,
Jaa tujhe kashmkash-e-dehar se aazaad kiya.
Wo karein bhi to kin alfaaz mein tera shikwa,
Jin ko teri nigaah-e-luft ne barbaad kiya.
Wahan se hai miri himmat ki ibtida wallaah,
Jo intiha hai tire sabr aazmaane ki.