Aai jab un ki yaad to aati chali gayi,
Har naksh-e-ma-siva ko mitaati chali gayi.
Un ka jo farz hai wo ahal-e-siyaasat jaane,
Mera paigaam mohabbat hai jahan tak pahunche.
Isi ko kehate hai jannat isi ko kokhaz bhi,
Wo zindagi jo haseenon ke darmiyaan gujare.
Is kadar khush hun kisi ke waada-e-farda pe main,
Dar-haqiqat jaise mujh ko etibaar aa hi gaya.
Idhar se bhi hai siwa kuchh udhar ki majboori,
Ki ham ne aah to ki un se aah bhi na hui.
Aagaz-e-mohabbat ka anzaam bas itna hai,
Jab dil mein tamnna thi ab dil hi tamnna hai.
Ek aesa bhi waqt hota hai,
Muskuraahat bhi aah hoti hai.
Aankhon mein nami si hai chup chup se wo baithe hain,
naazuk see nigaahon mein naazuk sa fasaana hai.
Mumkin nahin ki jaba-e-dil kaargaar na ho,
Ye aur baat hai tumhein ab tak khabar na ho.
Aa ki tujh bin is tarah e dost ghabraata hun main,
Jaise har shy mein kisi shy ki kami paata hun main.
Laakhon mein intkhaab ke kaabil bana diya,
Jis dil ko tumne dekh liya dil bana diya.
Aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gaye,
Khwabida zindagi thi jaga kar chale gaye.
Dil mein kisi ke raah kiye jaa raha hun main,
Kitna haseen gunaah kiye jaa raha hun main.
Agar na zohara-jabeenon ke darmiyaan gujare,
To phir ye kaise kate zindagi kahan gujare.
Agar-Na-Zohara-Jabeenon-Ke
Wo the na mujhse door na main unse dur tha,
Aata na tha nazar to nazar ka kusoor tha.
Ik lafz-e-mohabbat ka adna ye fasaana hai,
Simte to dil-e-aashiq faile to zamaana hai.