Wah hazaar dushman-e-jahan sahi mujhe phir bhi gair azeez hai,
Jise khaake-paa teri chhu gai. wah bura bhi ho to bura nahi,
Chaahat hai ishq, raaz-e-ishq uriyaan kijiye,
Yaani khud ko jaaiye unkio numaaye kijiye.
Haseen teri aankhein haseen tere aansoo,
Yahin doob jaane ko jee chaahata hai.
Jise raunk tere kadmon ne dekar chhin li raunak,
Wo laakh aabaad ho, us ghar ki veerani nahin jati.
Haay re majbooriyan mahroomiyan nakamiyan,
Ishq aakhir ishq hai tum kya karo ham kya karein.
Sab taraf chh gaye paigaam-e-mohabbat ban kar,
Mujh se acchhi rahi kismat mere afsaano ki.
Ham ne seene se lagaaya dil na apna ban saka,
Muskura kar tumne dekha dil tumhaara ho gaya.
Ham ishq ke maaron ka itna hi fasaana hai,
Rone ko nahin koi hasne ko zamaana hai.
Saaz-e-ulfat chhid raha hai aansuon ke saaz par,
Muskuraaye hum to unko bad-gumani ho gai.
Wo cheez kehate hain phirdaus-e-gumshuda jis ko,
Kabhi kabhi tiri aankhon mein paai jaati hai.
Wahi hai zindagi leqin Jigar ye haal hai apna,
Ki kaise zindagi se zindagi kam hoti jaati hai.
Laakh aaftaab paas se ho kar gujar gaye,
Ham baithe intizaar-e-sahar dekhte rahe.
Mujhi mein rahe mujh se mastoor ho kar,
Bahut paas nikale bahut door ho kar.
Main to jab maanu miri tauba ke baad,
Kar ke majboor pila de saaqi.
Bahut haseen sahi sohbatein gulon ki magar,
Wo zindagi hai jo kaanton ke darmiyaan gujare.
Tul-e-gham-e-hayaat se ghabra na e Jigar,
Aisi bhi koi shaam hai jis ki shar na ho.
Dard o gham dil ki tabiyat ban gaye,
Ab yahan aaraam hi aaraam hai.