Jidhar Jate Hain Sab
Jidhar Jate Hain Sab, Udhar Jana Achha Nahi Lagta,
Mujhe Puraane Raston Ka Safar, Achha Nahi Lagta,
Galat Baaton Ko Khamoshi Se Suno, Hami Bhar Lena,
Bahut Hain Fayde Is Mein Magar Achha Nahi Lagta,
Mujhe Dushman Se Bhi Khuddari Ki Umeed Rahti Hai,
Kisi Ka Bhi Ho Sar Kadmon Mein Achha Nahi Lagta,
Bulandi Par Inhe Mitti Ki Khusbbo Tak Nahi Aati,
Yeh Woh Shakhe Hain Jinko Ab Shajar Achha Nahi Lagta,
Yeh Kyu Baki Rahe Aatish Jano Yeh Bhi Jala Dalo,
Ki Sab Beghar Ho Aur Mera Ho Ghar Achha Nahi Lagta.
More Entries
- Sans Lena Bhi Kaisi Aadat Hai
- Bin Aapke Kuchh Bhi Achha
- Meri Zubaan Se Meri Daastaan Suno
- Teri Nigaah Ke Jadu Bikharte Jate Hain
- Teri Khamoshi Se Mujhe
- Hum Tere Hijar Mein Andar Se
- Hamara Azm-E-Safar Kab Kidhar Ka Ho Jaaye
- Pindaar Ke Khogar Ko Nagaam Bhi Dekhoge
- Yaad Usse Bhi Ek Adhura Afsana
- Kuch Meethe Pal Yaad Aate Hain