हम भी काफी तेज़ थे पहले वो भी थी होशियार बहुत ,
पहले दोनों खेल रहे थे लेकिन अब है प्यार बहुत !
काफिले रेत हुए दश्त-ए-जुनूं में कितने,
फिर भी आवारा मिजाजों का सफर जारी है !
एक ये दिन जब लाखों ग़म और काल पड़ा है आँसू का,
एक वो दिन जब एक जरा सी बात पे नदियाँ बहती थी!
यह दुनिया भर के झगडे, घर के किस्से, काम की बातें,
बला हर एक टल जाये, अगर तुम मिलने आ जाओ.
हमको तो बस तलाश नए रास्तों की है,
हम हैं मुसाफ़िर ऐसे जो मंज़िल से आए हैं!
किन लफ़्ज़ों में इतनी कड़वी, इतनी कसैली बात लिखूं,
शेर की मैं तहज़ीब निभाऊं या अपने हालात लिखूं!
Na Jaane Kab Se Mujhe Intezaar Hai Uss Ka,
Jo Keh Gayaa Tha Mera Intezaar Mat Karna.
हम है वफ़ा के पुजारी , हरदम वफ़ा करेंगे,
एक जान रह गयी है , इससे भी तुम पर फ़िदा करेंगे.
अल्लाह करे तुमको भी हो चाह किसी की,
फिर मेरी तरह तू भी, राह देखे रहा किसी की!
Main Bhool Jaoon Ab Yehi Munaasib Hai,
Magar Bhulana Bhi Chahoon Toh Kis Trah Bhulaaon,
K Tum Toh Phir Bhi Haqeeqat Ho, Koi Khawab Nahi.
खो गयी है मंजिले, मिट गए है सारे रस्ते,
सिर्फ गर्दिशे ही गर्दिशे, अब है मेरे वास्ते.
काश उसे चाहने का अरमान न होता,
मैं होश में रहते हुए अनजान न होता!
Chand Yaadon Ke Diye Thodi Tamanna Kuchh Khwab,
Zindagi Tujh Se Zyada Nahin Maanga Hum Ne.
मुसीबत में शरीफों की शराफत कभी कम नहीं होती,
सोने के कितने भी टुकड़े करदो ,
उसकी कीमत कभी कम नहीं होती,
प्यार करते हो मुझसे तो इज़हार कर दो,
अपनी मोहब्बत का ज़िकर आज सरे आम कर दो,
नहीं करते अगर सच्ची मोहब्बत तो इंकार कर दो,
ये लो मेरा नादान दिल इसके टुकड़े हज़ार करदो!
Aati hai mujhe jab yaad teri, tasveer nihara karta hu,
Raato ko mein tare gin-ginkar, ye waqt guzara karta hu.
किसी को क्या बताये की कितने मजबूर हू ,
चाहा था सिर्फ एक तुमको और तुमसे ही दूर हू,
काश कोई हम पर भी इतना प्यार जताती,
पीछे से आकर वो हमारी आँखों को छुपाती!
Kal Jahan Deevar Thi, Hai Aaj Ek Dar Dekhiye,
Kya Samayi Thi Bhala Deewane Ke Sa Dekhiye,
Shantimay Lagti Hai Kitni Jhil Ke Pani Par Hans,
Pairon Ki Betabiya Pani Ke Andar Dekhiye,
Chhodkar Jisko Gaye The Aap Koi Aur Tha,
Ab Main Koi Aur Hu Wapis Toh Aakar Dekhiye,
Chhote Se Ghar Mein The Dekhe Khwab Mahalo Ke Kabhi,
Aur Ab Mahlon Mein Hain Toh Khwab Mein Ghar Dekhiye,
Akal Yeh Kahti Hai Duniya Milti Hai Bazar Mein,
Dil Magar Yeh Kahta Hai Kuchh Aur Behtar Dekhiye.
Hamne Dhunde Bhi Toh Dhubde Hain Sahare Kaise,
In Sharabo Par Koi Umar Gujare Kaise,
Hath Ko Hath Nahi Sujhe Woh Andhkar Thi,
Aa Gaye Haath Mein Na Jaane Sitare Kaise,
Har Taraf Shor Usi Naam Ka Hai Duniya Mein,
Koi Usko Jo Pukare Toh Pukare Kaise,
Dil Bujha Jitane The Arman Saare Khak Huye,
Rakh Mein Fir Yeh Chamkate Hain Sarare Kaise,
Na Toh Dam Leti Hai Tu Na Hawa Thamti Hai,
Zindagi Julf Teri Koi Sanware Kaise.
Jab Aaina Koi Dekho Ik Ajnabi Dekho,
Kahan Par Layi Hai Tumko Yeh Zindagi Dekho,
Muhabbaton Mein Kahan Apne Waste Fursat,
Jise Bhi Chaho Woh Chahe Meri Khusi Dekho,
Jo Ho Sake Toh Jyada Hi Chahna Mujhko,
Kabhi Jo Meri Mohabbat Mein Kuchh Kami Dekho,
Jo Door Jaaye Toh Gham Hai Jo Paas Aaye Toh Gham Hai,
Na Jaane Kya Hai Woh Kambakht Aadmi Dekho,
Ujala Toh Nahi Kah Sakte Isko Hum Lekin,
Jara Si Kam Toh Huyi Hai Andhkar Dekho.
Jidhar Jate Hain Sab, Udhar Jana Achha Nahi Lagta,
Mujhe Puraane Raston Ka Safar, Achha Nahi Lagta,
Galat Baaton Ko Khamoshi Se Suno, Hami Bhar Lena,
Bahut Hain Fayde Is Mein Magar Achha Nahi Lagta,
Mujhe Dushman Se Bhi Khuddari Ki Umeed Rahti Hai,
Kisi Ka Bhi Ho Sar Kadmon Mein Achha Nahi Lagta,
Bulandi Par Inhe Mitti Ki Khusbbo Tak Nahi Aati,
Yeh Woh Shakhe Hain Jinko Ab Shajar Achha Nahi Lagta,
Yeh Kyu Baki Rahe Aatish Jano Yeh Bhi Jala Dalo,
Ki Sab Beghar Ho Aur Mera Ho Ghar Achha Nahi Lagta.
Main Kab Se Kitna Hu Tanha Mujhe Pata Bhi Nahi,
Tera Toh Koi Khuda Hai Mera Khuda Bhi Nahi,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Khatm Ho Gaya Hai Sab Kuchh,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Tak Toh Kuchh Hua Bhi Nahi,
Kabhi Toh Baat Ki Usne Kabhi Raha Khamosh,
Kabhi Toh Hanske Mila Aur Kabhi Mila Bhi Nahi,
Kabhi Jo Kadwi Baat Thi Woh Bhi Khatm Huyi,
Kabhi Gila Tha Hamein Unse Ab Gila Bhi Nahi,
Woh Cheekh Ubhri, Badi Der Gunji, Doob Gayi,
Har Ek Sunta Tha Lekin Koi Hila Bhi Nahi.