Ik Aalam-E-Hijraan Hi Ab Humko
Ik aaalam-e-hijraan hi ab hum ko pasand aaya,
Yeh khaana-e-viraaan hi ab hum ko pasand aaya,
Benaaam-o-nishaan rehna ghurbat ke ilaaqe main,
Yeh sheher bhi dilkash tha tab hum ko pasand aaya,
Tha laal hua manzar suuraj ke nikalne se,
Woh waqt tha woh chehra jab hum ko pasand aaya,
Hai qataa-e-talluq se dil khush to bohat apna,
Ik hadh hi banaa lena kab hum ko pasand aaya,
Aana woh Munir uss ka be-khauf-o-khatar hum tak,
Yeh turfaa tamaasha bhi shab hum ko pasand aaya..
More Entries
- Bechain Bohat Phirna Ghabraye
- Shehar Mein Humdum Puraane
- Apna To Yeh Kaam Hai Bhai Dil Ka
- Dost Samjhte Ho To
- Kya Lage Raat Ke Phir Dil Mein Samaya Koi
- Meri Saari Zindagi Ko Be-Samar
- Sheher Ko Teri Justaju Hai Bohat
- Main Aks Dekh Kar Khush
- Dil Ka Saffar Bas Ek Hi Manzil
- Dil Dhadakne Ka Sabab Yaad Aaya