Unko Main Kis Tarha Bhulaoon Nizaam,
Yaad Kis Baat Par Nahi Aate.
Sochte Sochte Dil Doobne Lagtaa Hai Meraa,
Zehan Kii Teh Main Muzaffar Koi Dariya To Nahi.
Jis Qadr Us Ko Zamane Ne Mitana Chaha
Aashiqi Aur Barhi Aur Barhi Aur Barhi.
Khoob Kartay Ho Dil Lagi Sahaab
Aur Os Per Ye Be Rukhi Sahaab
Pyaar Aur Wo Bhee Ham Karain Tum Se ?
Ham Ko Pyaari Hai Zindagi Sahaab
Ab Wo Saanson Ka Silsila Bhee Nahi
Le Lo Jo Hain Bachi Kuchi Sahaab.
Zindagi khawab-e-pareshaan se zyada to nahin,
Is main tabeer bhi mil jaye yeh waada to nahin,
Baat be’baat ulajhney ki yeh huu kesi hai,
Yeh bataa tera bicharrney ka iraada to nahin,
Kon khushbuu ke peechey geya door talak,
Log saada hain magar itney bhi saada to nahin,
Kis khushi se mujhe bheja hai bata surkh gulaab,
Zulm ka yeh teri jaanib se iraada to nahin,
Bewafa hum hi sahi, khud pe bhi kuch ghaur karo,
Be’rukhi aap ki bhi hadh se zeyadaa to nahin..