Dil Ka Saffar Bas Ek Hi Manzil
Dil ka saffar bas ek hi manzil pe bas nahin,
Itnaa khayaal uss ka humen iss barass nahin,
Dekho gul-e-bahaar-e-assar dasht-e-shaam main,
Deewaar-o-dar koi bhi kahin pesh-o-pass nahin,
Aaya nahin yaqeen bohat dair tak humen,
Apne hi ghar ka dar hai ya baab-e-qaffas nahin,
Aisa safar hai jis ki koi intihaa nahin,
Aisaa makaan hai jis main koi hum-naffass nahin,
Aaye gi phir bahaar issi sheher main Munir,
Taqdeer iss nagar ki faqat khaar-o-khas nahin.
More Entries
- Jo Hukum Deta Hai Woh Ilteza
- Ranj-E-Firaaq-E-Yaar Main Ruswaa
- Gham Ki Barish Ne Bhi Tere Naqsh
- Yeh Kab Kehti Hoon Tum Mere Galle
- Wo Mujhe Mehndi Lage Hath
- Sirf Aankho Se Hi Duniya Nahi Dekhi Jaati
- Sakoot-E-Shaam Main Goonji Sadaa
- Dil Ajab Mushkil Mei Hai Ab Asal
- Tumko Dekha To Khayaal Aaya
- Justajuu Khoye Howon Ki Umar