Dheere Se Sarakti Hai Rat Uske
Dheere Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah,
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah,
Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga,
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah,
Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,
Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”,
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah.
More Entries
- Main Apne Khwab Se Bichada Nazar
- Har Shama Bujhi Rafta Rafta
- Pehli Nazar Mein Laga
- Ik Taizz Teer Tha Ke Lagaa Aur Nikal Geya
- Uski Aankhon Sa Uske Gesu Sa
- Kis Qadar Masoom Se Lehja Tha
- Teri Adaon Ka Kayal Ho Gaya Hun
- Koi Anjaan Jab Apna
- Ajeeb Saaneha Mujh Par Guzar Gaya Yaaro
- Woh Jamana Gujar Gaya Kab Ka