Dil churakar aap to baithe hue hai chain se,
Dhoondhne wale se poonchhe koi kya jata raha.
Muhabbat Mein Kare Jo Sabar Unko Daad Milti Hai,
Jise Aadat Hai Khamoshi Ki Uske Bol-Bale HaiN..
Tumhi Ne Churaya Hai Dil Wo Tumhi Ho,
Paraii Raqam Le Ke Itraane Wale.
Tu Jo Aiye Zulf Pareshaan Raha Karti Hai,
Kis Ke Ujde Hue Dil Mein Hai Thikana Tera.
Kis Museebat Mein Pada HooN MaiN Dam-e-Tehree-e-Shauq
Wo Samaa Sakta NaheeN Khat MeiN Jo Mazmoon Dil MeiN Hai.
Aati hai baat baat mujhe baar baar yaad,
Kehata hun daud daud ke kasid se raah mein.
Aap pachhtayen nahin jaur se tauba na karein,
Aap ke sar ki kasam Dagh ka haal achha hain.
Phalak deta hai jisko aesh usko gham bhi deta hai,
Jahan bajte hai nakkare, wahi matam bhi hote hain.
Qayamat kyon nahin aati ilaahi mazara kya hain,
Hamare samne pehalu mein wo gairon ke baithe hain.
Hasrat se us koonche ko kyon kar na dekhiye,
Apna bhi is chaman mein kabhi aashiyana tha.
Wahi ham the ki roton ko hansa dete the,
Wahi ham hain ki thamta nahin aansoo apna.
Bharosa hain khudi par, nakhuda ki iltiza kaisi,
Meri kashti hi sahil hain, meri kashti mein hi sahil hain.
Dil churakar aap to baithe hue hai chain se,
Dhoondhne wale se poonchhe koi kya jata raha.
Daagh dushman se bhi jhuk kar miliye,
Kuchh ajeeb cheez hai milansari.
Jajb-e-ishq salaamat hai to insha allaha,
Kachhe dhage se chale aayenge sarkar bandhe.
Khoobiyan lakh kisi mein ho to zaahir na karein,
Log karte hain buri baat ka charcha kaisa.