Bharrkaa Rahe Hain Lab-E-Naghmagar


Bharrkaa rahe hain aag lab-e-naghmagar se hum,
Khamosh kya rahen ge zamaane ke ddar se hum,

Kuch aur barrh gaye jo andhere to kya hua,
Maayuus to nahin hain tuluu-e-sehar se hum,

Le de ke apne paas faqat ik nazar to hai,
Kyun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se hum,

Maaana ke is zameen ko na gulzaar kr sake,
Kuch khaar kum to kar gaye guzre jidar se hum..

Leave a comment