Kheencho na kamaanon ko na talwaar nikaalo,
Jab top muqaabil ho to akhbaar nikaalo.
Jo waqt-e-khatna mai cheekha to naai ne kaha hans kar,
Musalmani mein taakat khoon ke behane se aati hain.
Hue is qadar mohjjab kabhi ghar ka munh na dekha,
Kati umar hotalon mein mare aspataal jaa kar.
Jawani ki dua ladakon ko na-haq log dete hain,
Yahi ladke mitaate hain jawaani ko jawan ho kar.
Jab mein kehata hun ki ya Allah mera haal dekh,
Hukm hota hin ki apna nama-e-aaamaal dekh.
Jaan shaayad farishte chhod bhi dein,
doktar fees ko na chhodenge.
Ishq ke ijhaar mein har chand ruswaai to hain,
Par karun kya tabiat aap par aai to hain.
Jo kaha main ne ki pyaar aata hain mujh ko tum par,
Hans ke kehane lagaa aur aap ko aata kya hain.
इस क़दर था खटमलों का चारपाई में हुजूम,
वस्ल का दिल से मेरे अरमान रुख़्सत हो गया!