Phir Gayi Aap Ki Do Din Mein Tabeeyat Kaisi,
Ye Wafa Kaisi Thi Saahab Ye Murawwat Kaisi..
Ye hai ki jhukaata hai mukhalif ki bhi gardan,
Sun lo ki koi shay nahin ehsaan se behatar.
Ye dilbari ye naaz ye andaaz ye zamaal,
Insaan kare agar na tiri chaah kya kare.
Tayyaar the namaaz pe ham sun ke jikar-e-hoor,
Jalwa buton ka dekha ke niyat badal gai.
Raqeebon ne rapat likhwaai hain ja ja ke thaane mein,
Ki Akbar naam leta hain Khuda ka is zamaane mein.
Seene se lagaaye tumhein armaan yahi hain,
Jeene ka maza hain to meri jaan yahi hain.
Sau jaan se ho jaaunga raazi main saza par,
Pehale wo mujhe apna gunhagaar to kar lein.
Samajh mein saaf aa jaaye fasaahat is ko kehate hain,
Asar ho sunne waale par balaagat is ko kehate hain.
Talluk aashiq o maashuk ka to lutf rakhta tha,
Maje ab wo kahan baaki rahe bivi miyan ho kar.
Rehata hai ibaadat mein hamein maut ka khatka,
Ham yaad-e-khuda karte hain kar le na khuda yaad.
Paida hua wakeel to shaitan ne kaha,
Lo aaj ham bhi saahib-e-aulad ho gaye.
Naukaron par jo gujarti hai mujhe maloom hai,
Bas karam kije mujhe bekaar rehane dijiye.
Naaz kya is pe jo badala hain zamaane ne tumhein,
Mard hain wo jo zamaane ko badal dete hain.
Mira mohtaaz hona to miri haalat se zaahir hain,
Magar haan dekhana hain aap ka haajat-rawa hona.
Meri ye bechaniyan aur un ka kehana naaz se,
hans ke tum se bol to lete hain aur ham kya karein.
Lipat bhi ja na ruk ‘Akbar’ gajab ki byuti hain,
Nahin nahinpe na jaa ye haya ki duty hain.
Kya wo khwahish ki jise dil bhi samjhata ho hakeer,
Aarjoo wo hain jo seene mein rahe naaz ke saath.
Kuchh tarz-e-sitam bhi hain kuchh andaz-e-wafa bhi,
Khulta nahin haal un ki tabiyat ka zara bhi.
Kis naaz se kehate hain wo jhunjala ke shab-e-wasl,
tum to hamein karwat bhi badalne nahin dete.