Uski baatein mujhe khusboo ki tarah lagti hain,
Phool jaise koi sehara mein khila karta hai.
Akl walon ke muqaddar ye jok-e-junoon kahan Faraz,
Ye ishq waale hai jo har cheez luta dete hai.
Jab khija aaye to laut aayega wo bhi Faraz,
Wo baharon mein jara kam hi mila karta hai Faraz.
Mere dost ki pehchan yahi kaafi hai,
Wo har shakhs ko danista khafa karta hai.
Wo bewafa na tha yun hi badnam ho gaya Faraz,
Hazaron chahane wale the wo kis kis se wafa karta.
Mausam ka aitbaar jyada nahin kiya so usne hamshe pyar jyada nahin kiya,
Kuch to Faraz hamne palatne me der ki kuch usne intezar jyada nahin kiya.
Us ki nigaah mein itna asar tha Faraz,
Khareed li usne ek nazar mein zindagi hamari.
Ye soch kar teri mehfil mein chala aaya hoon Faraz,
Teri sohbat mein rahunga to sawar jaaunga.
Aankhon mein haya ho to parda dil ka hi kaafi hai Faraz,
Nahin to naqabon se bhi hote hain ishaare mohabbat ke.
Wo ye samjhta hai ki main har chehare ka talbgar hoon Faraz,
Main dekhta sabhi ko hoon bas us ki talash mein hun.
Main doob ke ubhara to bas itna hi dekha hai Faraz,
Auron ki taarh tu bhi kinare pe khada tha.
Jab uska dard mere saath wafa karta hai,
Ek samundar meri aankhon se baha karta hai.
Mohabbat ke andaz juda hote hain Faraz,
Kisi ne toot ke chaaha aur koi chaah ke toot gaya.
Sawaab samajh kar wo dil ke tukade karta hai Faraz,
Gunaah samajh kar hum un se gila nahin karte.
Ek pal jo tujhe bhoolane ka sochta hoon Faraz,
Meri saanse meri taqdir se ulajh jati hai.
Waqt-e-naza hai is kashmkash mein hoon ki jaan kisko doon Faraz,
Wo bhi aaye baithe hain aur maut bhi aai baithi hai.
Wo bazahir to mila tha ek lamhe ko Faraz,
Umar sari chahiye usko bhulane ke liye.
Fursat mile to kabhi humein bhi yaad kar lena Faraz,
Badi pur raunak hoti hai yaadein hum faqiron ki.
Kabhi himmat to kabhi hausale se haar gaye,
Hum badnaseeb the jo har kisi se haar gaye,
Ajab khel ka maidan hai ye duniya Faraz,
Ki jisko jeet chuke usi se haar gaye.
Muhabbat mein maine kiya kuch nahin luta diya Faraz,
US ko pasand thi raushani aur maine khud ko jala diya.