Mahafil se uth ke jana to koi baat nahin Faraz,
Mera mud mud ke dekhna use badnam kar gaya.
Kaanch ki tarah hote hain gareebon ke dil Faraz,
Kabhi toot jaate hain to kabhi tod diye jaate hain.
Kitna khauf hota hai sham ke andheron mein Faraz,
Poonch un parindon se jin ke ghar nahin hote.
Main apne dil ko ye baat kaise samjhaun Faraz,
Ki kisi ko chahane se koi apna nhi hota.
Kabhi kabhi to ro padti hain yun hi aankhe,
Udaas hone ka koi sabab nahin hota.
Itna na yaad aaya karo ki raat bhar so na sakein Faraz,
Subah ko surkh aankhon ka sabab poonchhate hai log.
Kasoor nahin is mein kuch bhi unka Faraz,
Hamari chaahat hi itani thi ki unhein guroor aa gaya.
Hamare baad nahin aayega tumhe chaahat ka aisa maza Faraz,
Tum logon se khud kehate firoge ki mujhe chaaho to uski tarah.
Hajoom-e-doston se jab kabhi fursat mile,
Agar samjho munasib to hame bhi yaad kar lena.
Bas yahi aadat uski mujhe achi lagti hai Faraz,
Udaas karke mujhe wo bhi khush nahin rehta.
Ham ne suna tha ki dost wafa karte hai Faraz,
JAb humne kiya bharosa to rivayat hee badak gai.
Usse bichhade to maloom hua ki maut bhi koi cheez hai Faraz,
Zindagi wo thi jo ham uski mehfil mein gujaar aaye.
Wafa ki aaj bhi kadar wahi hai Faraz,
Fakat mit chuke hain toot ke chaahane wale.
Main wafa ka kaun sa saleeka ikhtiyaar karoon Faraz,
Use yakin ho jaaye ke mujhe wo har ek se pyara hai.
Wafa ki laaz mein usko mana lete to achcha tha Faraz,
Ana ki jang mein aksar judai jeet jaati hai.
Tum mujhe mauka to do aitbaar banaane ka Faraz,
Thak jaaoge meri wafa ke sath chalte chalte.
Kitabon se daleelein doon ya khud ko saamane rakh doon Faraz,
Wo mujh se poonchh baithi hain muhabbat kisko kehate hai.
Kis kis se muhabbat ke wade kiye hain tune Faraz,
Har roz ek naya shakhs tera naam poochhata hai.
Wo jaanta tha uski muskurahat mujhe pasand hai Faraz,
Usne jab bhi dard diya muskurate hue diya.
Ruth jane ki adaa ham ko bhi aati hai Faraz,
Kaash hota koi ham ko bhi manaane waala.