Zindagi par is se badhkar tanz kya hoga Faraz,
Uska ye kehana ki tu shaayar hai, deewana nahin.
Wo zindagi ho ki duniya Faraz kya kije,
Ki jisse ishq karo bewafa nikalti hai.
Jee mein jo aati hai kar gujaron kahin aisa na ho,
Kal pasheman hon ki kyon dil ka kaha maana nahin.
Tum taqalluf ko bhi ikhlaas samjhte ho ‘Faraz’,
Dost hota nahin har haath milaane waala.
Jab bhi dil khol ke roye honge,
log aaram se soye honge,
Wo safeene jinhein toofaan na mile,
nakhudaaon ne dubooye honge.
Ungaliyaan aaj tak isi soch mein gum hai ‘Faraz’,
Usne kaise naye haath ko thaama hoga.
Ghar se nikale the ki duniya ne pukara tha ‘Faraz’,
Ab jo fursat mile duniya se to ghar jaayen kahin.
Jhele hain jo dukh tune ‘Faraz’ apni jagah hain,
Par tum pe jo gujari hai wo auron se kam hai.
Kitna aasaan tha tere hizra mein marna jaana,
Phir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate.
Itna tasalsul to meri saanson mein bhi nahin Faraz,
Jis rawaani se wo shakhs mujhe yaad aata hai.
Shiddate dard se sharminda nahin meri wafa Faraz,
Dost gehare hain to phir jakhm bhi gehare honge.
Kaun pareshan hota hai tere gham se Faraz,
Wo apni hi kisi baat pe roya hoga.
Dil ki rishton ki najaakat wo kya jaane Faraz,
Narm lafzon se bhi lag jaati hain chote aksar.
Sau baar marna chaaha nigaahon mein doob kar Faraz,
Wo nigaah jhuka lete hain humein marne nahin dete.
Mujh se har baar nazarein chura leta hai wo Faraz,
Maine kaagaz par bhi bana ke dekhi hain aankhein uski.
Zindagi to apne kadmo pe chalti hai Faraz,
Auron ke sahaare to zanaaze utha karte hain.
Chadhte Sooraj ke pujari to laakhon hai Faraz,
Doobte waqt humne sooraj ko bhi tanha dekha.
Waise to thik rahunga mai us se bichad ke “Faraz”,
Bas dil ki sochta hoon, Dhadakna chor na de.
Wo jiske liye humne saari hadein todd di “Faraz”,
Aaj usne keh diya apni hadd me raha karo.
Ehsaas ke andaaz badal jaate hain “Faraz”,
Warna aanchal bhi usi dhaage se banta hai aur Kafan bhi.